Tuesday, October 18, 2011

Humari zindagi(life) ka kya maksad hai...?


Humari zindagi(life) ka kya maksad hai...?Kya aap ke zehan me kabhi ye qhyal aya h ki hum kyon paida huve, humse khuda kya chahta h, humare zindagi ka kya maksad h, hume kyon maut ayegi vagyra vagyra.In sawalon ka jawab jane ke liye hume KHUDA ko samjhne ki koshish karni hogi .KHUDA jo ki hamara mabood h jiske alawa koi mabood nahi is kaynat me sirf KHUDA ki hi zaat h jo k mukamal(complete) h aur beayib(perfect) h aur KHUDA bhi apne bando se PERFECTION ki tarf ruju chahta h yani KHUDA ki tarf ruju chahta h is ki misaal aise h ki hum sone(gold) k sath loha(iron) nahi mila sakte h usi tarha hum KHUDA ki tarf wapsi ka safar tab hi shuru kar sakta jab hum bhi beayib ban jaye, beayib ka matlab aap ye na nikalen ki hum bhi nuzbillah KHUDA ki tarha beayib hojayen KHUDA ki zaat beayib h yani KHUDA jab se h KHUDA h aur mukamal h aur uski perfection aur humare perfection me fark h .humari perfection NAFS ki perfection h jo ki hume anjam me lana h jab ki KHUDA me NAFS nahi h kyun k KHUDA khaliq h aur hum khilqat h aur hume jo kuch h jaise rooh, nafs, aqal sabhi KHUDA ki khilqat h aur khaliq hamesha khilqat se buland h aur khaliq me khilqat ki koi sifat payi nahi jati.Koi bhi cheez ka maujood hona is baat ki daleel h ki uski majoodgi ka koi na koi maqsad h ishi tarh humari majoodgi ka maqsad ye h ki hum safar ki tayari shuru karen ,ye safar jo ki hume allah ki tarf ruju karne ke liye ikhteyar me lana h jaise aap jab dosth chunte h aap apni pasand aur na pasand ka khayal rakhte h aap kabhi aise kl dosth nahi rakhte jis ki aadaten aapko pasand na ho usi tarah KHUDA hume dawat de raha h aur woh mezbaan h aur hum mehmaan to kya khuda unko mehmaan banayga jinko woh pasand nahi karta, ab ye janne ki koshish karte KHUDA kise pasand karta h iska jawab hume quran e majeed se milta h :-(Jannati Wo hen) Jo kehtay hen k aey hamaray Rab! hum imaan laa chukay iss liay hamaray gunaah moaaf frma aur hmen aag k azaab say bacha. Jo sabar karney walay aur sach bolnay waalay aur farmaanbardari karney waalay aur Allah ki raah mein kharch karney waalay aur (raat k) pichlay pehar men bakshish maangney waalay hen.(Sura Aal e Imran Ayat 16,17)Tum Loge Dunya ki zindagi ko muqadam rakhtay ho jab k aakhirat behtar aur hamesha rehnay waali hai. Ye baat pehlay tamam sahifon men bhi mojud hai. Ibraheem k sahifon men bhi aur Moosa k sahifonmen bhi (Sura Aala Ayaat 16-19)Beshak jo loge imaan k saath naik kaam kartay hen, namazon ko qaaem kartay aur zakaat ada kartay hen un ka ajar un k Rab k paas hai, un par na to koi khof hai na udaasi aur gham (Sura Baqra Ayat 277)Jo Apne Rab k samnay kharay honayse darta aur nafs ko khwahishaat se rokta raha uska thikana Jannat hai" (Surah Naziaat Ayat 40-41)chaliye quran ne hum ko ye waze taur par hidayat de di ki KHUDA hum se kya chahta h, KHUDA hum se TAKHWA , PERHEZGARI, AMAANATDARI aur SABR chahta h .Ab aiye ye dekhte h KHUDA humse kya nahi chahta :-Kya insan ye khayaal karta hai k Hum uss ki hadiyan jama nahi karen gay.Haan zaroor Karen gay, Hum to Qaadir hen k uss ki (ungliyon ki) por por tak durust (jama) kar den (Sura Qayamat Ayat 3-4)Allah Taalaa adal ka bhalaee ka aur qarabat daron kay sath naik salook kerney ka hukum deta hai aur bey hayaee kay kaamon, na-shaista herkaton aur zulm-o-ziyadti say rokta hai. woh khud tumhen naseehaten ker raha hai kay tum naseehat hasil karo.(Sura Nahal ayat 90)Mujremon se (poochen gay).Tumhein dozakh mein kis cheez ne daala.Wo jawab daingay kehum namazi na thay.Na miskeeno ko khana khilatay thay.Aur hum logon k baihooda kaamon men shamil ho jaatey thay.Aur roz-e-jaza ko jhutlatay thay.Yahan tak kay humein maot agai. (Sura Mudassir, Ayaat 41-47).Ayen hum sab aaj ye ahad le ki hum ALLAH ke nek bando me shamil hune ki koshish karen aur ALLAH se ye dua kare ki woh hume hidayat de aur gumrahi se bachaye .Ameen.....Suma Ameen....Ilaahi Ameen.

No comments:

Post a Comment